![]()
Urdu Poetry
| Poet: Zauq dariyaa-e-ashk chashm se jis aan bah gayaa sun liijiyo ke arsh kaa aivaan bah gayaa [aan = moment; arsh = heaven; aivaan = palace] zaahid sharaab piine se kaafir huaa mai.n kyuu.N kyaa De.Dh chulluu paanii me.n imaan bah gayaa yuu.N roye phuuT phuuT ke paa.Nvo.n ke aabale naalaa saa ek suu-e-biyaabaan bah gayaa [aabale = blisters; naalaa = cry] kashtii savaar-e-umr huu.N bahr-e-fanaa me.n mai.n jis dam bahaa ke le gayaa tuufaan bah gayaa thaa 'Zauq' pahale dillii me.n panjaab kaa saa husn par ab vo paanii kahate hai.n multaan bah gayaa Courtesy: http://www.mehfil-e-gazal.net |